Rishabh raj – Hindi movie Phir Aaya Satte Pe Satta Releasing all Over  India 18th August 2017

Jharkhand (Bokaro) ke rehne waale Rishabh Raj schooling holy Cross school ( Bokaro), graduation ( Visthapit Mahavidyalaya , Balidih )

Aane waali movie phir aaya satte Pe satta jo 18 August ko pure Bharat Mei release ho rhi Hai , 5 August ko iska music launch event rakha gya tha mumbai ke hard Rock Cafe Mei , Iss movie Mei action Hai drama Hai comedy Hai romance Hai suspense Hai , omkar das manikpuri jinhe aaplogon ne aamir khan ki movie peepli live Mei dekha hoga wo iss movie Mei pehli baar comedy karte hue Nazar aayenge wo mere Bhai ka role play Kar rhe Hain hum aapas Mei bht ladte Hain , udit narayan , Asha bhonsle, nitin Mukesh aur khusboo jain ne geet gaaye hain, gana sunkar aapka dil Khush ho jaayega,

 

Mera character Bruce Lee se inspired Hai Mai hamesha nine chaku se fight karte rehta Hoon Mai bachpan se martial arts aur dance seekhta aaya  Hoon isliye martial arts aur dance skill dikhane ka mauka Mila  , ye movie Sirf unke liye Hai Jo bollywood ki movies dekhna pasand karte Hain ,  censor board ne u certificate Diya Hai iska Matlab puri family ek Saath  dekh sakti Hai  jo Hollywood ki movies prefer karte Hain ye unke liye bilkul  nhi banai gyi Hai . Iss movie ke director/ producer and writer Mr Rajesh mittal hain ,worldwide release mittal advertising and distribution dwara Kiya ja rha Hai .

  

Jahan bollywood Sirf unko mauka de rhi Hai ek ke Baad ek Jo star ke ladke ho ya director/producer ke aise Mei Rishabh raj khamoshi se Sirf apne talent ke dum par dheere dheere bollywood Mei jagah banate ja rhe Hain .

Bhartiya natya shikshapeeth se 2 saal theatre acting and direction ka course Kiya, anupam kher academy se acting course, nsd n ftii se acting workshop ,star banne ke lakshya ko dekhte hue modelling, print shoots, ad, serial ,movies jhansi ki Rani laxmi bai Mei Nana saheb peshwa ka role Kiya Jo limited theatres Mei release hui,  serial dil dosti dance, big fame star, the Buddy project, it’s complicated, Arjun, V distraction.